agar tu bhi sahi hain,
is baar meri tarah..............
to milna mujhe us jahan me,
is asmaan se paray..............
jaha na sach ho, na koi jhuth ho........
na duniya ho, na ye log ho...................
na mehfil ho, na tanhayi ho................
na kuch sahi ho ar na kuch galat ho.........
bas tu ho ar mere sapne ho.........................
teri dhadkan ar meri zindagi ho.................
और बस ये ज़िन्दगी हो............ज़िन्दगी..........
Thursday, 16 February 2012
Zindagii ka safar...........
Zindagi ke safar mein har koi parchayi hain,
koi tinka, koi kashti ar koi tanhayi hain.........
sahare jis ke bhi ho kya farak padhta hain,
har insaan ne kabhi na kabhi chot khayi hain........
No comments:
Post a Comment