Monday, 8 May 2017

Zindagi.............

kehne k liye jaruri nahi ki koi alfaaz ho.........
nazrey bhi bahut kuch bayaan karti hai.......
Jeene k liye jaruri nahi ki koi ehsaas ho.....
khamoshiyo m bhi zindagi panah leti hai..
Hum dard k us samandar se bhi guzar kar aye hai.....
jahan khushiyan bhi apna dam toda karti hai......
Ab to intezaar hai aur ek aaaas hai..........
kabhi khamoshiyan bhi royengi.........
khushiyan ek bar fir se apni baahein kholengi.......
nazrein hi nahi fir har yaad apne alfaaz khud bolegi.......

Monday, 30 September 2013

Zindagi.............
ek gunaah mein tere liye to kisi k liye dua hu mein,
tere liye dard sahi par kisi k liye dawa hu mein............
raat ka saaya tere liye to kisi ki subah hu mein,
tere liye daga sahi par kisi k liye wafa hu mein............
ek bhool mein tere liye to kisi ki zindagi ka hissa hu mein.........




Tuesday, 26 February 2013

Zindagi.............
khamosh hai ye zindagi kuch is tarah....
ki chah kar bhi kuch keh nahi pati.....
jaanti hai sab par na jaane kyu.....
fir anjaan bankar hai dikhati.....
yu to zindagi ne bhi na chaha hoga hamare liye....
fir bhi hume wahi din dikhati.........
mehfilo mein tanha kar deti kabhi,
kabhi gum mein bhi muskati.......
apne hi mann ke saare ye khel khilati.....
kabhi hasati, kabhi rulati......
kabhi sab kuch jeeta ke bhi harati.....
mein hairan nahi ab pareshan hu.....
apni hi zindagi se anjaan hu.....
na janta hu ki zindagi kya chahti hai mujhse....
ar na hi janna chahta hu......
bebasi mein jee raha hu,
sukun se marna chahta hu.........
thak gaya hu ab mein haar haar ke....
bas ab kuch khud ke liye karna chahta hu......
Do Pal To Mein Bhi Apni Zindagi Ko Zindagi Ki Tarah Jeena Chahta Hu.................

Wednesday, 29 August 2012

Zindagi.............
Agar aap kisi se dur hona chahte hain to us bat ki gehrayi tak na jaye ki ye duriyaaa kyu ayi kyunki shayad agar aap is bat ka pata lagane ki koshish karenge to aap chah kar bhi usse dur nhi ho payenge..................ar wo apse bahut dur jaa chuka hoga................

Wednesday, 23 May 2012

Yu to bahut bedard hain ye duriya ye faasle,
Par Ye duriyaaan nahi hoti to shayad hum apke ho bhi na paate..........
Ye faasle nahi hote to shayad hum apse kuch keh bhi na paate........................


Sunday, 20 May 2012

Dil Chahta hain ya to sab kuch aise hi ruk jaye..................
ya fir mjh zindagi bhul jaye ar koi mjhs kuch bhi sawaal na puche ar na hi mjh kisi sawaal ka jabab dena padhe...................................:(

Monday, 30 April 2012

.....................

Ek hissa hi sahi teri Zindagi ka,
Par beeeta hua tere kal ka har pal hu mein.............
Yun to shayad tu mujhe bhula de apne dil se,
Par teri yaado k har lamhe m rehta to hu mein.............